Assalamu Alaykum Welcome to quran and hadith blog (Islamic knowledge).

Friday, June 16, 2023

Tawheed ke 3 Qisme(Types) Kya hai? | Al Zikr | Tawheed Chapter |

Tawheed ke 3 Qisme(types) hai

- Tawheed e Uloohiyat

-Tawheed e Rububiyat

-Tawheed e Asma wa sifat


1.Tauheed-e-Uloohiyat se muraad kya hai?


Tauheed-e-Uloohiyat se muraad yeh hai ki Allah hi ilaah e waahid hai.


Irshaad farmaya 👇


وَ اِلٰـہُکُمۡ اِلٰہٌ وَّاحِدٌ ۚ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا ہُوَ الرَّحۡمٰنُ الرَّحِیۡمُ


"Aur (aye logo) tumhaara ilaah to bas ek hi hai. UssRahmaan wa Raheem ke elaawah koi ilaah nahi"


(Surah Baqra:2/163)


llaah ek jaame' lafz hai. llaah mein jo sifaat aur khusoosiyaat paayi jaati hain koyi ek lafz in sifaat kaihaata nahi kar sakta. llaah uss hasti ko kahte hain jotamaam qism ki ibaadaat (namaaz, roza, hajj, qurbani, du'a, nazr wa niyaaz waghairah) ka mustahiq ho. Jis ko mushkil kusha aur haajat rawa samjha jaye. Jis se faryaad ki jaye aur madad talab ki jaye. Jo lasaani aur

lazawaal ho, jo benazeer aur bemisoal ho. Kaaynaat ki koi cheez jis se posheedah na ho jo har waqt har jagah se har shaksh ki pukaar sunta ho, jo dilon ke halaat jaanta ho. Jo har cheez par qaadir ho, majboor aur a'ajiz na ho, ghani ho,sab uske mohtaaj hon woh kisi ka mohtaaj na ho. Lafz ilaah mein tauheed ke tamaam pahloo iss tarah

samo diye gaye hain ki "Laa ilaaha illallah" kahne ke ba'd mazeed kuchh kahne ki zaroorat nahin rahti.


Tauheed ki tamaam tafseelaat ilaah ki tashreehaat hain. yahi woh tauheed hai jis ko mushrikeen-e-makkah samet har daur ke mushrik manne se inkaar karte rahe.


2.Tawheed e Rububiyat se kya Murad hai? 

Allah Ta'ala ko kaaynaat ki har cheez ka khaliq, malik, raaziq aur kaaynaat mein tamaam umoor ki tadbeer karne waala maanna tauheed e Ruboobiyat hai.


Mushrikeen e Makkah bhi iss tauheed ko maante the.


قُلۡ مَنۡ یَّرۡزُقُکُمۡ مِّنَ السَّمَآءِ وَ الۡاَرۡضِ اَمَّنۡ یَّمۡلِکُ السَّمۡعَ وَ الۡاَبۡصَارَ وَ مَنۡ یُّخۡرِجُ الۡحَیَّ مِنَ الۡمَیِّتِ وَ یُخۡرِجُ الۡمَیِّتَ مِنَ الۡحَیِّ وَ مَنۡ یُّدَبِّرُ الۡاَمۡرَ ؕ فَسَیَقُوۡلُوۡنَ اللّٰہُ ۚ فَقُلۡ اَفَلَا تَتَّقُوۡنَ


(Aye Nabi) Aap (in mushrikeen se) poochhiye ki tumko aasmaan aur zameen se rizq kaun pahunchaata hai. Jaandaar ko bejaan se aur bejaan ko jaandaar se kaun nikaalta hai aur tamaam kaamon ka intezaam kaun karta hai,woh jhat kah denge ki (yeh sab kaam karne waala) Allah hai, to unse poochiye ke phir tum (Allah se) darte kyun nahi?"


(Surah yunus :10/31)


Tauheed-e-ruboobiyat ke munkir ko dahriya kaha jaata hai aur yeh baat khusoosi tawajjoh talab hai ki Mushrikeen e Makkah tauheed e ruboobiyat ke qaayel hone ke bawajood mushrik hi thhahre.


..........Asal Mazmoon..........


Tajdeed e emaan Aao Iman Ki Bate Kare Safa Number - 16


3.Tauheed-ul-Asmaa wa Sifaat se kya murad hai?

 

Tauheed-ul-Asmaa wa Sifaat se murad yeh hai ki ilaah ki tashreeh mein darj shudah tamaam sifaat e baari Ta'ala par eemaan laane ke saath Allah Ta'ala ki un sab sifaat ka bhi iqraar kiya jaye jin se Allah Ta'ala ne Qur'an Majeed mein apne aap ko mousoof kiya, masalan


Allah Ta'ala Arsh par mustawi hai


{Surah Taha Ayat Number - 5}


Allah Ta'ala ne Moosa Alaihissalam se kalam kiya


{Surah Taha Ayat Number - 14}


Allah Ta'alaa ne Aadam Alaihissalam ko apne haathon se banaya


{Surah Sa'ad Ayat Number - 75}



Ya jin sifaat ka zikr ahaadees e-Sahiha mein ho masalan


Allah Ta'ala aasmaan e dunya par nuzool farmata hai.


(Sahih Muslim)


Yeh tamaam sifaat uss kamaal ko pahunchi huyi hain jo sirf Allah Ta'ala hi ke laayeq hai kisi makhlooq ke sath Allah Ta'ala ki sifaat ko tashbih nahi di jaa sakti. Kyunki makhlooq khaaliq ki sifaat ki kaifiyat ko jaanne se qaasir hai.


Allah Ta'ala farmata hai 👇


ليس كمثله شي


(Kaaynaat ki) koi cheez uski misl nahi.


{Surah Shaora Aayat Number - 11}



Allah Ta'ala ki sifaat ko haqeeqat par mahmool karte huwe kisi taweel, kaifiyat, ta'teel aur tamseel ke baghair eeman laana tauheed ul Asmoa wa Sifaat hai.


Taweel:- Aayat wa Ahadees ke zaahiri ma'no ko doosre baatil ma'ne ki taraf pherna taweel kehlata hai, masalan Allah ke Arsh par mustawi hone ka matlab yeh bayaan kiya jaaye ki Allah Arsh par ghaalib hai. Aisi taweel karna jaayez nahin


Kaifiyat:- Allah Ta'ala ki sifaat ki kaifiyat bayaan karna jayeaz nahin. Kyunki uss kaifiyat ko Allah Ta'ala ke siwa koyi nahin jaanta.


Tamseel:- Tamseel se muroad yeh hai ki Allah ki sifaat ko makhlooq ki sifaat ke mushabeh qaraar diya jaye.


Masalan Allah ka Aasmaan-e-duniya par nuzool (utarne ko) hamaare nuzoool ki tarah mana jaye. Aisa maanna haraam hai


Ta'teel:- Allah Ta'ala ki sifaat ki nafi karna ta'teel hai.


Masalan Allah Ta'ala ko arsh par mustawi manne ke bajaye use bataur e zaat har jagah maujood samjha jaye. Aisa samajhna gumraahi hai.



Yaqeenan salaf-e-Saliheen Ya'ni Sahaba, tabeyeen, taba'e Tabeyeen aur aimma-e-kiram ka maslak hi haq hai ki Allah Ta'ala ki sifaat ke haqeeqi mo'ne par eemaan laakar baghair kisi taweel wa tamseel ke un sifaat ki kaifiyat ko Allah Ta'ala par chod dena chahiye



..........Asal Mazmoon..........


Tajdeed e emaan Aao Iman Ki Bate Kare Safa Number => 17-19



No comments:

Post a Comment

Must Watch !

*🍂 _Aaj ki Hadees:_ "Surah BAQARAH Ke Fazail"*